murattab aur bhi ek goshwara ho raha hai to kya hai gar abhi hum ko khasara ho raha hai hamare pas to hum se ziyaada tu nahin tha so tu kya ab to khud se bhi kinara ho raha hai hamare khwab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab wo khwab aankhon mein sitara ho raha hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to hum the guzara ho raha tha so guzara ho raha hai haya-alud aankhen hain na aanchal hai na chilman ye kis viran duniya ka nazara ho raha hai abhi hum faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagta hai jine se khasara ho raha hai khala se is zamin par sang-rezo ki ye barish kisi jaanib se kya koi ishaara ho raha hai