murid-e-dair-o-haram kam-se-kam ye kaam karen hadis-e-dard-e-mohabbat ka zauq aam karen yahi minnat-e-aram ye muqaddar hai ghamon ki dhup mein rahat ka ehtimam karen abhi na den hamein ilzam bewafai ka khud apne wadon ka kahiye wo ehtiram karen jo tishna-kaam tere mai-kade mein hon saqi mere lahun se wo labrez apne jam karen abhi na jeb na daman na aastin ka pata yaqin-e-mausam-e-gul ho to intizam karen unhin ke lab pe hai amn-o-amin ka afsana wahi jo hazrat-e-insan ka qatl-e-am karen guman se ahd-e-yaqin tak sukun ki ho duniya khushi ke sath jo gham ka bhi ehtimam karen mazaq-e-ahl-e-gulistan jo sath de jae qafas-nasibon ki yaadon ka ehtiram karen ye daur-e-hashr nahin hai to aur kya hai 'amin' kise pukaren yahan kis ko ham-kalam karen