muskuraate hue phulon ka araq sab ka hai

muskuraate hue phulon ka araq sab ka hai
un ke jalwon se ayan hai jo sabaq sab ka hai

jis ko padhne se meri zist ziya-bar hui
us pe tahrir khuda ki hai waraq sab ka hai

jitni hajat ho miyan utna hi hissa lena
apne atraf ke saman pe haq sab ka hai

mutthiyan bhar ke lahu main ne uchhaala barson
is se tashkil hua rang-e-shafaq sab ka hai

log kis tarah dikhate hain tabassum ki numud
ruh kajlai hai chehra bhi to faq sab ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close