muskuraati aankhon ko doston ki nam karna

muskuraati aankhon ko doston ki nam karna
ram aise afsane chhod do raqam karna

ab kahan wo pahli si fursaten mayassar hain
sara din safar karna sari raat gham karna

sabr ki riwayat mein jabr ki adalat mein
lab kabhi na wa karna sar kabhi na zakhm karna

main gunahgaron mein sahab-e-tariqat hun
dakhili shahadat par mera sar qalam karna

zindagi to sapna hai kaun 'ram' apna hai
kya kisi ko dukh dena kya kisi ka gham karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close