mustahiq wo lazzat-e-gham ka nahin

mustahiq wo lazzat-e-gham ka nahin
jis ne khud apna lahu chakkha nahin

us shajar ke sae mein baitha hun main
jis ki shakhon par koi patta nahin

kaun deta hai dar-e-dil par sada
kah do main bhi ab yahan rahta nahin

ban rahe hain sath-e-dil par daere
tum ne to patthar koi phenka nahin

ungliyan kanton se zakhmi ho gain
hath phulon tak abhi pahuncha nahin

ek khushbu sath jo pal bhar rahi
umr bhar pichha mera chhoda nahin

wo maqam-e-fikr hai mera 'ali'
jis bulandi tak koi pahuncha nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close