muztarib sa rahta hai mujhse baat karte waqt

muztarib sa rahta hai mujh se baat karte waqt
pher kar kalai ko bar bar dekhe waqt

barha ye socha hai ghar se aaj chalte waqt
hadisa na ho jae rah se guzarte waqt

koi bhi nahin pahuncha aag se bachane ko
main tha aur tanhai apne ghar mein jalte waqt

is qadar andhera tha is qadar tha sannata
chandni bhi darti thi ganw mein bikharte waqt

main to khair nadim tha is liye bhi chup chup tha
wo bhi kuchh nahin bola rasta badalte waqt

wo visal do pal ka bhulta nahin shahid
main ne us ko chuma tha sidhiyan utarte waqt


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close