na aae kaam kisi ke jo zindagi kya hai bashar-nawaz na ho jo wo aadmi kya hai zamana-saz hain jo wo hain maslahat-andesh jo ho khulus se aari wo dosti kya hai pas-az-wafat na len jis ka nam us ke aziz tawangari hai agar ye to muflisi kya hai karo na dast-daraazi khuda ke bandon par hai nam us ka shujaat to buzdili kya hai haqiqi dosti wo hai ho jis mein josh-o-kharosh nashat-e-ruh na ho jis mein khush-dili kya hai aziz-tar hain mujhe khud se bhi hasan-chishti bataun aap ko kya banda-parwari kya hai na ho jo qari-o-samea pe kuchh asar-andaz fareb mahz hai 'barqi' wo shairi kya hai