na badalna tha na badla dil-e-shaida apna rang har waqt badalti rahi duniya apna surat-e-atish-e-khamosh jala karta hun dekhta hun shab-e-gham aap tamasha apna zakhm ne dad na di dard ne fariyaad na ki rah gaya tham ke qatil bhi kaleja apna husn hai dad-e-khuda ishq hai imdad-e-khuda ghair ka dakhl nahin bakht hai apna apna wo sunen ya na sunen nala-o-fariyaad 'aziz' aap hargiz na karen tark taqaza apna