na but-kade mein na kabe mein sar jhukane se

na but-kade mein na kabe mein sar jhukane se
sukun mila hai teri anjuman mein aane se

mere junun ko mohabbat se dekhne wale
zara nigah bachae hue zamane se

main muskura to diya un ki be-niyazi par
ye kya ki dil pe lagi chot muskurane se

bahut kiya hai haqiqat ki talkhiyon se gurez
magar bahal na saka dil kisi fasane se

khusha ki ahd-e-qafas mein bhi zindagi ke liye
nigah khelti rahti hai aashiyane se

udas dil ko sahaara na mil saka 'jawed'
andheri shab mein sitaron ke jagmagane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close