na chaaragar na masiha na rahbar tha main

na chaaragar na masiha na rahbar tha main
nazar mein phir bhi zamane ki mo'atabar tha main

ana pe harf na aa jae haq-paraston ki
uthae apne hi neze pe apna sar tha main

sawal ye nahin kis ne kiya tha qatl mujhe
sawal ye hai ki kyun khud se be-khabar tha main

jo subh-e-nau ka asiri mein de raha tha payam
wo inqilab-e-zamana ka nama-bar tha main

sukun-e-dil bhi mila aablon ki lazzat bhi
tumhaare sath safar mein jo ham-safar tha main

hue the past hawaon ke hausle 'arif'
jab apne khole fazaon mein baal-o-par tha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close