na chhuTa hath se yak lahza gareban mera

na chhuta hath se yak lahza gareban mera
chashm-e-tar hi pe raha gosha-e-daman mera

jis taraf guzre kare ru-e-zamin ko gulzar
sair-e-gulshan se phire jab gul-e-khandan mera

khelen aapas mein pari-chehra jahan zulfen khol
kaun puchhe hai wahan haal-e-pareshan mera

bakht hain shor ye apne hi ki wo naushin lab
auron ka chashma-e-haiwan hai namak-dan mera

auron ki aankhon ko dekhun hun main didar-nasib
bana rone ko yahi dida-e-giryan mera

dur us lab se jo guzre hai dil-e-pur-khun par
jaane mera hi jigar aur ye dandan mera

be-ajal marta raha ishq mein us ke umr bhar
kahun kis munh pe main 'hasrat' wo hai jaanan mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close