na durweshon ka KHirqa chahiye na taj-e-shahana

na durweshon ka khirqa chahiye na taj-e-shahana
mujhe to hosh de itna rahun main tujh pe diwana

kitabon mein dhara hai kya bahut likh likh ke dho dalin
hamare dil pe naqsh-e-kal-hajr hai tera farmana

ghanimat jaan jo dam guzre kaifiyat se gulshan mein
diye ja saqi-e-paiman-shikan bhar bhar ke paimana

na dekha wo kahin jalwa jo dekha khana-e-dil mein
bahut masjid mein sar mara bahut sa dhunda but-khana

kuchh aisa ho ki jis se manzil-e-maqsud ko pahunchun
tariq-e-parsai howe ya ho rah-e-rindana

ye sari aamad-o-shud hai nafas ki aamad-o-shud par
isi tak aana jaana hai na phir jaana na phir aana

'zafar' wo zahid-e-bedard ki hu-haq se behtar hai
kare gar rind dard-e-dil se haw-hu-e-mastana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close