na faisla tumhaara hai na faisla hamara hai

na faisla tumhaara hai na faisla hamara hai
ye waqt ke qazzaq ne chhupa ke tir mara hai

faqih-e-shahr zindagi ki aankh ka jo nur tha
wo main ne tere aastan pe khwab la ke wara hai

sitar-gan ki bazm mein udas chand dekhna
na-jaane kaisa khwab hai na-jaane kya ishaara hai

hamein ye khwab titliyan talashna hain umr-bhar
ki hath khali nikle hain charagh hai na tara hai

pas-e-ghubar waqt yun pukarta hai kaun ye
ki hijr-o-gham ka silsila batao kyun gawara hai

'sajjad' bhi malul hai ki qafila hai sham ka
falak pe ek chand hai jo aakhiri sahaara hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close