na fasle koi rakhna na qurbaten rakhna

na fasle koi rakhna na qurbaten rakhna
bas ab ba-qadr-e-ghazal us se nisbaten rakhna

ye kis talluq-e-khatir ka de raha hai suragh
kabhi kabhi tera mujh se shikayaten rakhna

main apne sach ko chhupaun to ruh shor machae
azab ho gaya mera samaaten rakhna

faza-e-shahr mein ab ke badi kudurat hai
bahut sambhaal ke apni mohabbaten rakhna

hum ahl-e-fan ko bhi gum-namiyan thin ras bahut
hua hai bais-e-ruswai shohraten rakhna

qasida-khwani karo aur mauj udao ki 'shauq'
tamam kar-e-ziyan hai sadaqaten rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close