na harifana mere samne aa main kya hun

na harifana mere samne aa main kya hun
tera hi jhonka hun ai tez hawa main kya hun

raqs yak qatra-e-khun aap kashish aap junun
ai ram-e-raushni-e-harf-o-sada main kya hun

ek bikharti hui tartib-e-badan ho tum bhi
rakh hote hue manzar ke siwa main kya hun

ek tahni ka yahan apna muqaddar kaisa
ped ka ped hi girta hai juda main kya hun

tu bhi zanjir-ba-zanjir badha hai meri samt
sath mere bhi riwayat hai naya main kya hun

kaun hai jis ke sabab tujh mein mohabbat jagi
mujh mein kya tujh ko nazar aaya bata main kya hun

abhi hona hai mujhe aur kahin ja ke tulua
dubte mehr ke hamrah bujha main kya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close