na ho aarzu kuchh yahi aarzu hai

na ho aarzu kuchh yahi aarzu hai
faqat main hi main hun to phir tu hi tu hai

na ye hai na wo hai na main hun na tu hai
hazaron tasawwur aur ek aarzu hai

na ummid jhuti na kuchh yas sachchi
nahin jo kahin bhi wahi chaar-su hai

kise dhundhte hain yahi dhundhte hain
yahi justuju hai agar justuju hai

jagaega kis tarah shor-e-qayamat
khamoshi se na-chaar har guftugu hai

khudi bhi hamari khudai sahi
wahi ham-nashin hai wahi du-ba-du hai

magar dashna tha saya-e-zulf-e-saqi
ki jo zakhm hai saghar-e-mushk-bu hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close