na ho jis pe bharosa us se hum yari nahin rakhte hum apne aashiyan ke pas chingari nahin rakhte faqat nam-e-mohabbat par hukumat kar nahin sakte jo dushman se kabhi ladne ki tayyari nahin rakhte kharidaron mein rah kar zindagi wo bik bhi jate hain tere bazar mein jo log hushyari nahin rakhte banao ghar na mitti ke lab-e-sahil ai nadanon samundar to kinaron se wafadari nahin rakhte ana ko sakhti-e-haalat aksar tod deti hai isi dar se kabhi fitrat mein khuddari nahin rakhte dar-o-diwar se un ke bhala kya aaegi khushbu jo ghar ke sahn mein phulon ki ek kyari nahin rakhte faqat lafzon se hum 'dana' hunar ki dad lete hain qalam wale kabhi shauq-e-adakari nahin rakhte