na ho ya rab aisi tabiat kisi ki

na ho ya rab aisi tabiat kisi ki
ki hans hans ke dekhe musibat kisi ki

jafa un se mujh se wafa kaise chhute
ye sach hai nahin chhutti aadat kisi ki

achhuta jo gham ho to is mein bhi khush hun
nahin mujh ko manzur shirkat kisi ki

hasinon ki donon adaen hain dilbar
kisi ki haya to shararat kisi ki

mujhe gum-shuda dil ka gham hai to ye hai
ki is mein bhari thi mohabbat kisi ki

bahut roe hum yaad mein apne dil ki
jahan dekhi nannhi si turbat kisi ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close