na honge hum to ye rang-e-gulistan kaun dekhega

na honge hum to ye rang-e-gulistan kaun dekhega
bahaaron se hi takhrib-e-bahaaran kaun dekhega

sar-e-mahshar jafaon ki shikayat bar-mahal lekin
phir in masum nazron ko pashiman kaun dekhega

baja hai lala o gul ki tabahi ka tasawwur bhi
magar ye manzar-e-mahshar-ba-daman kaun dekhega

mujhe taslim hai qaid-e-qafas se maut behtar hai
nasheman par hujum-e-barq-o-baran kaun dekhega

hasin tabir-e-mustaqbil sahi is ki magar 'anwar'
nae fitnon ka ab khwab-e-pareshan kaun dekhega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close