na jaane aaj kyon un ke labon par mera nam aaya ye kaisa inqalab aaya salam aaya payam aaya meri khamoshiyan unwan bani hain kitne qisson ka zaban ab kholna hogi ajab mushkil maqam aaya jalain khud hi shamen main ne aur khud hi bujha dalin kabhi jab yaad mujh ko mera khwab-e-na-tamam aaya bigade kaam duniya ke chala aflak sar karne bashar ke sar mein baithe baithe kya sauda-e-kham aaya jawani kahte hain laghzish hai lekin marifat bhi hai kai rahen nikalti hain jahan se wo maqam aaya aziz-o-aqriba jitne the sab ishrat ke sathi the bura jab waqt aaya 'tahira' koi na kaam aaya