na jaane kab basar hue na jaane kab guzar gae khushi ke intizar mein jo roz-o-shab guzar gae har aane wale shakhs ka dabaw meri samt tha main raste se hat gaya to sab ke sab guzar gae mere liye jo waqt ka shuur le ke aae the mujhe khabar hi tab hui wo lamhe jab guzar gae samundaron ke sahilon pe khak ud rahi hai ab jo tishnagi ki aab the wo tishna-lab guzar gae magar wo tere baam-o-dar ki azmaton ka pas tha teri gali se be-adab bhi ba-adab guzar gae wafur-e-imbisat mein kise rahenge yaad hum agar jahan-e-rang-o-bu se be-sabab guzar gae baja hai tera ye gila ki main bahut badal gaya dar-asl mujh pe hadse hi kuchh ajab guzar gae kahin kahin to rah bhi khud ek sadd-e-rah thi magar hum aise sakht-jaan ba-nam-e-rab guzar gae hui na qadar mehr ki khulus raegan gaya rah-e-wafa se 'rashk' hum wafa-talab guzar gae