na jaane kaisi mohabbat ke wade raat jale

na jaane kaisi mohabbat ke wade raat jale
jala jo khat to sakhi mere donon hath jale

guzara din jo udasi mein sham kahne lagi
bahut akeli hun main koi mere sath jale

palat ke haal na puchha fareb-karon ne
ye dil ke sath mere ek aur ghat jale

ganwa ke baithi hun main aaj apna sabr-o-qarar
ki sath chand ke meri tu sari raat jale

main us kahani ka kirdar hun ki jis mein sada
wafa ko likhne se pahle hi mera hath jale

khizan ke baad bahaaron ki rah dekhi to
ye haif sad ki meri aarzu ke pat jale

hai pyas aisi ki 'dilshad' aansu tak hain piye
ki tere hijr mein dil mera baat baat jale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close