na koi uljhan na dil pareshan na koi dard-e-nihan tha pahle

na koi uljhan na dil pareshan na koi dard-e-nihan tha pahle
hamare hathon mein titliyan thin ye dil bahut shadman tha pahle

har ek titli pe bar-e-gham hai aur andalibon ki aankh nam hai
jahan pe ab khak ud rahi hai yahin kahin gulistan tha pahle

na bughz dil mein rahe na nafrat bas ek duje se ho mohabbat
hum aao tamir phir se kar len wahi jo hindostan tha pahle

wo meri chahat ki raushni se nikal ke zulmat mein ji raha tha
yaqin mujh ko nahin tha lekin wo mujh se kuchh bad-guman tha pahle

hamari holi hai eid hai wo har ek khushi ki umid hai wo
wo pas aae to us se puchhen tu itne din se kahan tha pahle

tumhaari duniya mein aaenge hum tumhein gale se lagaenge hum
janab hum ko mile jo fursat daraaz-e-kar-e-jahan se pahle

hai wahshaton ka ye daur kaisa kyon dahshaten sar utha rahi hain
kahan se le aaen dhund kar hum wahi jo amn-o-aman tha pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close