na manzil hai na manzil ka nishan hai hamara karwan phir bhi rawan hai usi dali pe apna aashiyan hai tadapti jis jagah barq-e-tapan hai hui hain kargar ghairon ki chaalen tere lab par nahin hai ab na han hai rahe sayyaad har dam jis chaman mein wahan gham ki hikayat jawedan hai surur-o-naghma hain ab kal ki baaten yahan to ab faqat aah-o-fughan hai unhen kyun ranj ho jaur-o-sitam par sitamrani to khu-e-mahweshan hai nahin insan ki qimat koi 'rifat' purane daur ki baat ab kahan hai