na manzil thi na rasta tha kiya phir bhi safar barson wo jalwa to gaya lekin raha us ka asar barson sawal-e-zindagi aksar kiye rahta pareshan tha talash-e-zindagi mein hi rahi apni nazar barson mili jo man mujhe kal raat sapne mein to yaad aaya nahin jaana hua mera hai ab ke apne ghar barson nahin deti hamari zindagi bhi aaj-kal fursat tumhaara bhi nahin hota hai ab aana idhar barson meri mahrumiyon se wasta tha kya bhala is ka mila paya nahin yarab main duniya se nazar barson na jaane intizar us ka 'salil' rahta hai kyon tujh ko nahin rahti jise shayad khud apni hi khabar barson