na mila tera pata to mujhe log kya kahenge yunhi dar-ba-dar raha to mujhe log kya kahenge tujhe zindagi kaha hai tu hai zindagi ka hasil tujhe bewafa kaha to mujhe log kya kahenge mere dil mein zabt-e-gham ka jo charagh jal raha hai wo charagh bujh gaya to mujhe log kya kahenge ye jahan na jaane kya kya mujhe kah raha hai lekin kabhi tum ne kuchh kaha to mujhe log kya kahenge main chala to hun sunane use dastan wafa ki koi hadisa hua to mujhe log kya kahenge