na puchh dil ke KHarabe se aur kya nikla

na puchh dil ke kharabe se aur kya nikla
badi talash ke baad ek naqsh-e-pa nikla

ruke to chand bahut dur tha tasawwur se
chale to chaar hi qadmon ka fasla nikla

khirad ke phul to murjha gae bahaaron mein
junun ka zakhm khizan mein hara-bhara nikla

siyah raat mein lau de uthe lahu ke charagh
rubab-e-ishq se wo shola-e-nawa nikla

safar-e-shabab ka had-darja mukhtasar tha magar
bahut tawil sarabon ka silsila nikla

nigah-e-naz mein masti bhi hai taqaddus bhi
sharab-khane ka mandir se rabta nikla

visal-e-yar to qismat ki baat hai be-shak
khayal-e-yar bhi hum se bahut khafa nikla

nigar-e-sher ne sola-singar jis mein kiye
wo aaina mere ashkon ka aaina nikla

kamal-e-chashm-e-nazara to dekhiye ai 'prem'
bayaz-e-jism ka har raaz khushnuma nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close