na puchhiye ki kaha kya hai an-kahi kya hai

na puchhiye ki kaha kya hai an-kahi kya hai
azab jhel raha hun sukhanwari kya hai

ajab hai zauq-e-tamasha ki ghar jala kar log
ye chahte hain samajhna ki raushni kya hai

pas-e-nazar ho agar maqsad-e-hayat to phir
ye zist waqt guzari hai zindagi kya hai

main multaji hun na wo multafit magar phir bhi
ye ek aag dilon mein lagi hui kya hai

main dil ke dagh dikhaun ki zakhm-e-sar un ko
jo puchhte hain ki mafhum-e-dosti kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close