na puchho dosto main kis tarah hansta hansata hun tawajjoh yaad rakhta hun taghaful bhul jata hun mujhe to yaad hai main aaj tak bhula nahin tujh ko bata bhule se tujh ko bhi kabhi main yaad aata hun agar mazi bhula baithe to apna haal kya hoga kahani raat bhar ahl-e-chaman ko main sunata hun ye kya kam hai ki mere dil mein pinhan daulat-e-gham hai main akasr apni palkon ko sitaron se sajata hun dil-e-wahshat-zada ka 'intizar' ab to ye aalam hai ki khud apna nasheman apne hathon se jalata hun