na rasta na koi dagar hai yahan magar sab ki qismat safar hai yahan sunai na degi dilon ki sada dimaghon mein wo shor-o-shar hai yahan hawaon ki ungli pakad kar chalo wasila yahi mo'tabar hai yahan na is shahr-e-be-his ko sahra kaho suno ek hamara bhi ghar hai yahan palak bhi jhapakte ho 'makhmur' kyun tamasha bahut mukhtasar hai yahan