na ruh-e-mazhab na qalb-e-arif na shairana zaban baqi

na ruh-e-mazhab na qalb-e-arif na shairana zaban baqi
zamin hamari badal gai hai agarche hai aasman baqi

shab-e-guzishta ke saz o saman ke ab kahan hain nishan baqi
zaban-e-shama-e-sahar pe hasrat ki rah gai dastan baqi

jo zikr aata hai aakhirat ka to aap hote hain saf munkir
khuda ki nisbat bhi dekhta hun yaqin rukhsat guman baqi

fuzul hai un ki bad-dimaghi kahan hai fariyaad ab labon par
ye war par war ab abas hain kahan badan mein hai jaan baqi

main apne mitne ke gham mein nalan udhar zamana hai shad o khandan
ishaara karti hai chashm-e-dauran jo aan baqi jahan baqi

isi liye rah gai hain aankhen ki mere mitne ka rang dekhen
sunun wo baaten jo hosh udaen isi liye hain ye kan baqi

tajjub aata hai tifl-e-dil par ki ho gaya mast-e-nazm-e-'akbar'
abhi middle pas tak nahin hai bahut se hain imtihan baqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close