na sunti hai na kahna chahti hai hawa ek raaz rahna chahti hai na jaane kya samai hai ki ab ki nadi har samt bahna chahti hai sulagti rah bhi wahshat ne chun li safar bhi pa-barahna chahti hai talluq ki ajab diwangi hai ab us ke dukh bhi sahna chahti hai ujale ki duaon ki chamak bhi charagh-e-shab mein rahna chahti hai bhanwar mein aandhiyon mein baadban mein hawa masruf rahna chahti hai