na wo nalon ki shorish hai na ghul hai aah-o-zari ka wo ab pahla sa hangama nahin hai be-qarari ka talab kaisi bulana kya wahan khud ja pahunchte hain agar aalam yahi chande raha be-akhtyari ka wahan wo naz-o-ishwe se qadam gin gin ke rakhte hain yahan is muntazir ka waqt pahuncha dam-shumari ka kabhi chashm-e-khumar-alud ki masti nahin dekhi baja hai hazrat-e-naseh ko dawa hoshiyari ka bhala kya aisi roti shakl pas aa kar koi baithe uthe aakhir wo jhunjhla kar bura ho ashk-bari ka ajab kya hai ki qasid bhul jae us ka le jaana likhun jis name mein shikwa teri ghaflat-shiari ka misal-e-nakhl dekha hai usi ko phulte-phalte kiya jis shakhs ne hasil tariqa khaksari ka har ek shai ka hai andaza magar payan nahin hargiz teri ghaflat-shiari ka meri ummid-wari ka zi-bas aankhon mein rangat chha rahi hai lala-o-gul ki khizan mein lutf aata hai hamein fasl-e-bahaari ka kabhi sar panw par rakhna kabhi qurban kah uthna hamein thoda sa dhab aata to hai matlab-barari ka chhupa kal gosha-e-mai-khana mein 'majruh' ne dekha yunhi shohra suna tha shaikh ki parhez-gari ka