nadim bagh mein josh-e-numu ki baat na kar bahaar aa to gai rang-o-bu ki baat na kar ajib bhul-bhulayyan hai shahrah-e-hayat bhatakne wale yahan justuju ki baat na kar tabah kar na mazaq-e-junun ki khuddari dil-e-tabah kisi tund-khu ki baat na kar khud apne tarz-e-amal ko sanwar aur sanwar mere rafiq tariq-e-adu ki baat na kar gurez-e-husn ko andaz-e-husn kahte hain nazar se dekh magar khub-ru ki baat na kar ye barq-e-husn jalati to hai magar naseh wo aur shai hai mere shoala-khu ki baat na kar ye mai-kade ki faza kah rahi hai ai 'akhtar' ki tishnagi mein bhi jam-o-subu ki baat na kar