nae dinon ke nae sahifon mein zikr-e-mehr-o-wafa nahin hai

nae dinon ke nae sahifon mein zikr-e-mehr-o-wafa nahin hai
mohabbaton ki jasaraton ki saza nahin hai jaza nahin hai

nigah ke shokh-pan ko beganagi ka aaseb das gaya hai
mughayrat ka fusun-zada dil junun ke shayan raha nahin hai

koi bhi sajni kisi bhi sajan ki muntazir hai na muztarib hai
tamam baam aur dar bujhe hain kahin bhi raushan diya nahin hai

hayat ke pur-jamal manzar pe koi nutq aur qalam na mahka
naya qalamkar nudrat-e-fan ki khushbuon par fida nahin hai

yahin pe kal hum se tum se yaro muaddaton ko janam mila tha
dayar-e-yaran wahi hai lekin koi wafa-ashna nahin hai

visal-ghadiyon firaq-lamhon ke gham, tarab sab fasanche hain
milan ka aur na-milan ka sukh dukh dilon ki tah mein chhupa nahin hai

main dair o kaba mein dhund aaya to main ne paya ye ilm o irfan
main ek insan hun meri hasti se koi hasti wara nahin hai

wo chashm-e-bina ki manzilen thin ye kor-chashmi ke marhale hain
purani pahchan mar gai hai kisi se koi mila nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close