nafas ki aamad-o-shud ko wabaal kar ke bhi

nafas ki aamad-o-shud ko wabaal kar ke bhi
wo khush nahin hai hamara ye haal kar ke bhi

ajab tha nashsha-e-waraftagi-e-wasl use
wo taza-dam raha mujh ko nidhaal kar ke bhi

hamein aziz hamesha rahi hai nisbat-e-khak
ye sar jhuka raha kasb-e-kamal kar ke bhi

lo hum na kahte the hum ko nahin umid-e-jawab
lo hum ne dekh liya hai sawal kar ke bhi

ye ek umr purani sharab hai yaro
khumar-e-hijr rahega visal kar ke bhi

usi ke nam ka sajda kiya musalle par
usi ka zikr kiya hai dhamal kar ke bhi

sharab dana-e-angur se barabar khinch
par ek kuza kashid-e-khayal kar ke bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close