nafe hai kuchh to wo kisi faizan hi ka hai

nafe hai kuchh to wo kisi faizan hi ka hai
warna talluqa mera nuqsan hi ka hai

kulfat hai sab ki sab ye tawaqqo ke nam ki
jo bhi kiya dhara hai ye imkan hi ka hai

mal-o-manal dast-gah-e-hadsat ka
rahte hain gar bahaal to ausan hi ka hai

manzar wo hai ki jo kabhi shashdar na kar sake
hairat ye hai ki dida-e-hairan hi ka hai

ilzam khud hun main yahan hasti ke nam par
mera wajud asl mein bohtan hi ka hai

tafsil mein to simta hua hi tha inkisar
ijmal bhi ye ijz ke unwan hi ka hai

aakhir ayan hua ki marasim ki zail mein
asbab-e-dil-shikastagi paiman hi ka hai

jab tak ba-dosh rahta hai rahta hun gamzan
mera safar haqiqatan saman hi ka hai

utre wo naw-e-shauq se ho dubna jise
sahil mizaj-e-bahr ka tufan hi ka hai

aawargan ke waste kirdar dasht ka
anjam-kar hita-e-zindan hi ka hai

ja-e-panah us ki koi dusri nahin
'khawar' kahin ka hai to bayaban hi ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close