nafi hue the sab isbaat

nafi hue the sab isbaat
mere din mere haalat

aamadani kya shai hai yar
kyun hote hain ikhrajat

gham shahnai gunjte hi
aai yaadon ki baraat

adna sa ek mohara main
jis ne di thi shah ko mat

band mile jab ghar ke dar
aangan mein ja leti raat

bikhra bikhra mera shauq
simti simti us ki zat

is mausam tak aai yar
biti rut ki gham saughat

dil se to nikli lekin
honton par aa thahri baat

tanha si mere kamre mein
bhig rahi hai khud barsat

chhoti bahr ke sheron mein
kahna mushkil puri baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close