nahin ho tum to har shai ajnabi malum hoti hai

nahin ho tum to har shai ajnabi malum hoti hai
bahaar-e-zindagi kanton bhari malum hoti hai

charagh-e-zist ki lau thartharaati hai chale aao
mujhe har sans apni aakhiri malum hoti hai

bataun kya tumhaari chashm-e-ulfat ki asar-rezi
rag-o-pai mein utarti barq si malum hoti hai

sitam mujh par usi andaz se paiham kiye jao
tumhaari dushmani bhi dosti malum hoti hai

jahan dekha kisi ne bhi hamein chashm-e-mohabbat se
palat kar zindagi aai hui malum hoti hai

tawaf-e-dair-o-kaba se yahi hasil hua mujh ko
mohabbat hi sarapa bandagi malum hoti hai

'jalil' ek sham-e-hasrat bujh gai to gham nahin is ka
abhi dagh-e-jigar mein raushni malum hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close