nahin kisi ki tawajjoh KHud-agahi ki taraf

nahin kisi ki tawajjoh khud-agahi ki taraf
koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf

tumhaara jalwa-e-masum dekh le ek bar
khayal jis ka na jata ho bandagi ki taraf

mizaj-e-shaikh-o-barhaman ki barhami malum
ki ab hayat ka rukh hai khud-agahi ki taraf

nazar wo log ujale mein khud na aae kabhi
bula rahe hain jo duniya ko raushni ki taraf

jata rahe hain hamin ko na dekhna apna
wo dekh dekh ke mahfil mein har kisi ki taraf

hazar bar irada kiye baghair bhi hum
chale hain uth ke to aksar gae usi ki taraf

buton ne munh na lagaya 'adib' ko shayad
jhuke hue hain jabhi to ye shaikh-ji ki taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close