naKHuda bhi nahin KHuda bhi nahin

nakhuda bhi nahin khuda bhi nahin
koi mera tere siwa bhi nahin

muddaa ghair muddaa bhi nahin
aur hasrat ka puchhna bhi nahin

kahish-e-gham harif-e-jaan hi sahi
gham na ho to yahan maza bhi nahin

shisha-e-dil to chor hai lekin
aasra hai ki tutta bhi nahin

husn ka aks hai hijab-e-nazar
phir junun ko to sujhta bhi nahin

bazm se un ki uth gaya khud main
koi pursan-e-haal tha bhi nahin

ishq mein pad ke lut gaya 'raazi'
un ko gham hai ki kuchh hua bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close