naKHuda ki mushkilen aasan kar jata hun main

nakhuda ki mushkilen aasan kar jata hun main
apni kashti aap jab tufan se takraata hun main

un ka har ek qaul aksar be-amal pata hun main
nasehon ki baat ko khatir mein kab lata hun main

kis qadar hai na-rasa mera muqaddar dekhiye
ain manzil ke qarib aa kar bhatak jata hun main

har balae-e- na-gahan mera muqaddar ban gai
har bala se khud ko ab mahfuz-tar pata hun main

jab mohabbat jaan thi iman thi wo din gae
ab mohabbat ke tasawwur se bhi ghabraata hun main

be tere jo kuchh guzarti hai mere dil par na puchh
zindagi ko maut ke nazdik-tar pata hun main

main teri baaton mein aa kar be-sar-o-saman hua
ab magar ai dil teri baaton mein kab aata hun main

muddaten guzrin ki dil ne ki thi un ki aarzu
aaj tak dasht-e-talab mein thokaren khata hun main

zindagi mein rang-o-bu ne kis qadar dhoke diye
is pe bhi aasi fareb-e-rang-o-bu khata hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close