naKHwat-e-husn pasand aai hai diwane ko

nakhwat-e-husn pasand aai hai diwane ko
sar-kashi shama ki manzur hai parwane ko

dekhiye kaun si ja yar ka milta hai pata
koi kabe ko chala hai koi but-khane ko

teri furqat mein tasawwur hai ye bedardi ka
khwab hum jaante hain nind ke aa jaane ko

kaam aa jati hai ham-bazmi bhi raushan dil ki
shama ham-rang bana leti hai parwane ko

gul pe bulbul tha kahin shama pe parwana tha
hum ne har rang mein dekha tere diwane ko

wa-shud-e-dil na hui ghuncha-e-khatir na khila
kaun se bagh mein aae the hawa khane ko

main ne jab wadi-e-ghurbat mein qadam rakkha tha
dur tak yaad-e-watan aai thi samjhane ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close