namaz kaisi kahan ka roza abhi main shaghl-e-sharab mein hun

namaz kaisi kahan ka roza abhi main shaghl-e-sharab mein hun
khuda ki yaad aae kis tarah se buton ke qahr-o-itab mein hun

sharab ka shaghl ho raha hai baghal mein pata hun main kisi ko
main jagta hun ki so raha hun khayal mein hun ki khwab mein hun

na chhed is waqt mujh ko zahid nahin ye mauqa hai guftugu ka
sawar jata hai wo sharabi main hazir us ki rikab mein hun

kabhi sharabi kabhi namazi kabhi hun main rind-gah zahid
khuda ka dar hai buton ka khatka ajab tarah ke azab mein hun

qayamat aane ka khauf kaisa taraddud-o-fikr kyun hai 'agha'
hisab kya koi mujh se lega bata to main kis hisab mein hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close