naqab-e-bazm-e-tasawwur uThai jati hai

naqab-e-bazm-e-tasawwur uthai jati hai
shikast-khurdon ki himmat badhai jati hai

bhatakne lagta hai rah-e-wafa se jab aalam
hadis-e-ishq hamari sunai jati hai

mata-e-hosh-o-khirad be-baha sahi lekin
dar-e-habib pe ye bhi lutai jati hai

nazar se hoti hai lutf-o-karam ki barish bhi
nazar se barq-e-tapan bhi girai jati hai

wufur-e-shauq ki dekho to maslahat-koshi
junun ki baat khirad se chhupai jati hai

kis e'timad se aaghaz-e-daur-e-ulfat mein
khayal-o-khwab ki duniya basai jati hai

faza-e-ruh pe tarikiyan musallat hain
haram mein sham-e-aqidat jalai jati hai

dikha dikha ke maal-e-junun ki fitnagari
bashar ko rasm-e-murawwat sikhai jati hai

mata-e-ishq-o-mohabbat nigah-e-alam se
kis ehtiyat se 'farigh' chhupai jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close