naqab-e-ruKH uTha kar husn jab jalwa-figan hoga

naqab-e-rukh utha kar husn jab jalwa-figan hoga
na puchho kya qayamat-khez rang-e-anjuman hoga

na gul hanste na kaliyan muskuraatin phir bahaaran mein
khabar hoti agar un ko khizan-khurda chaman hoga

ghariq-e-bahr hona aadmi ke haq mein behtar hai
na mamnun-e-zamin hoga na muhtaj-e-kafan hoga

jafa dhate rahenge bas yunhi din-raat dar-parda
samajh baithe hain wo badnam to charkh-e-kuhan hoga

safar mein bhi musafir ke bahalne ko ba-khamoshi
kabhi ahbab ka qissa kabhi zikr-e-watan hoga

abhi to patte patte par bahaaren tuti padtin hain
khuda jaane hamare baad kya rang-e-chaman hoga

ajal jab chhin legi aadmi se tab-e-goyai
sukut-e-der-pa honton pe phir ja-e-sukhan hoga

kise malum tha yun dil ki himmat sath chhodegi
fana khud apne teshe se bil-akhir kohkan hoga

khuda ke ghar bhi yun to be-talab jata nahin koi
bulaoge to han 'rifat' sharik-e-anjuman hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close