naqsh guzre hue lamhon ke hain dil par kya kya

naqsh guzre hue lamhon ke hain dil par kya kya
mud ke dekhun to nazar aate hain manzar kya kya

kitne chehron pe rahe aks meri hairat ke
mehrban mujh pe hue aaina-paikar kya kya

waqt katta raha mai-khane ki raaton ki tarah
rahe gardish mein ye din raat ke saghar kya kya

chashm-e-khuban ke ishaaron pe tha jina marna
roz bante the bigadte the muqaddar kya kya

panw uthte the usi manzil-e-wahshat ki taraf
rah takte the jahan rah ke patthar kya kya

rahguzar dil ki na pal-bhar ko bhi sunsan hui
qafile gham ke guzarte rahe aksar kya kya

aazrana the meri wahshat-e-dil ke sab rang
sham se subh talak dhalte the paikar kya kya

aur ab haal hai ye khud se jo milta hun kabhi
khol deta hun shikayat ke daftar kya kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close