naqsh jab zaKHm bana zaKHm bhi nasur hua

naqsh jab zakhm bana zakhm bhi nasur hua
ja ke tab koi masihai pe majbur hua

par parwaz bhi tab tak na khule the jab tak
baith jaane ki thakan se na badan chur hua

din ki chhalni mein tera lamha-e-fursat chhane
dil to lagta hai isi kaam pe mamur hua

daman-e-dost hai ek zehn ke pardon mein kahin
jis qadar hath badhaya hai so wo dur hua

kabhi be-samt na hone ki dua mangi thi
kasrat-e-samt se rasta mera mamur hua

chikhna chahti hun chikh nahin pati hun
khwab hota tha haqiqat ko bhi manzur hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close