narm resham si mulaem kisi makhmal ki tarah sard raaton mein teri yaad hai kambal ki tarah main zamane se ulajh sakta hun us ki khatir jo sajata hai mujhe aankh mein kajal ki tarah koi sagar kahin pyasa jo nazar aae to hum baraste hain wahin tut ke baadal ki tarah khub-surat thi ye kashmir ki wadi jaisi zindagi tere bina lagti hai chanmbal ki tarah shahr ki aab-o-hawa ne mere bachche chhine main akela hi raha ganw ke pipal ki tarah