nashad tha nashad hai ma'lum nahin kyon dil 'ishq mein barbaad hai ma'lum nahin kyon dekha tha kabhi khwab-e-hasin main ne bhi ai dost itna to mujhe yaad hai ma'lum nahin kyon baqi hai abhi tul-e-shab-e-hijr ka 'alam dil sham se nashad hai ma'lum nahin kyon barbaad hua jis ke taghaful se mera dil dil mein wahi aabaad hai ma'lum nahin kyon har chand ki dil kushta-e-bedad hai lekin nala hai na fariyaad hai ma'lum nahin kyon jo sab ke liye lutf-o-'inayat ka hai paikar mere liye jallad hai ma'lum nahin kyon main bhi kahin aabaad tha ye yaad nahin hai mujh mein koi aabaad hai ma'lum nahin kyon ai 'dard' qafas mein bahut aaram hai lekin gulshan ki faza yaad hai ma'lum nahin kyon